Monday, June 1, 2009 0 comments

Fir Teri Kahani Yaad Aayi!!



Na socha tha ki pyar karne ki tu aisi saza dega,

Til-til marne ki kuch aisi wajah dega,

.

Jita raha sukh ke intezaar me har dukh ko apnake,

Kya pata tha vartmaan meri kushiyan chura lega,

.

Hasta raha kuch chubhtey kantey dil me samaye,

Kya pata tha gum ankho se beh kar mujhi ko duba dega,

.

Karta tha baatey sahil se bahein faila kar,

Is aas me ki ek din tu aake muje gale laga lega,

.

Firta raha jindagi bhar kuch sawalon ke jawab dundhne,

Kya pata tha woh ek mod sare sawal badal dega,

.

Jiya har pal ko maut ki ahat samaj kar,

Galt fehmi thi jo socha ke khuda marne ki raza dega,

.

Kar rahi thi intezaar ruh kabr sukh jane ka,

Par pata na tha ke tu yaad banker kabr me bhi rula dega,

.

Gum nahi hai jindagi ko kho dene ka,

Itihaas apne pyar ki gawahi deta rahega,

.

.

Bus tuje khone ka gum janmo janm in aankho se behta rahega .

 
;